Thursday 27 November 2008

BY MY PAPA------------------::::::::::Bachpan me chhuaa tha titli ko der tak
dekhta rah gaya tha awaak ungliyon par ubhar aye jaduyi rang.......
raat bhar adh jaga ,dara ,sahma soya raha saheje huye ungaliyon ki poron par ............
aur us din chhuaa tha tumhari ungaliyon ko
aur tamaam din saheje raha tha ungaliyon ki poron par tumhare sparsh ka ek sheetal Oos bindu......
Mat ro o meri bida leti bitiya mat ro .....
dekho sungho meri kapti ungaliyon par tumhari navjaat ungaliyon ke swapnil rango ki ek sparsh mayi ghandh abhi bhi taza hai.......
.kishore -maan ka pratham koutuk pita hone ki pratham anubhooyi hriday ki ungliyon par hamesha taza rahti hai.........
Mat ro O meri bida leti bitiya ! mat ro!
AAo pochhein ek doosre ke galon ko sahejlein apni apni ungaliyon ki poron par pratham bichhoh ka ek ek dagd ashra -bindu hamesha ke liye hamesha ke liye.....
Rahne ko kisi bahane ke saath hamesha ke liye hamesha hamesha ke liye kisi ek bahane ke saath hamesha ke liye..............BY MY PAPA

(www.vidhua1527.googlepages.com)---http://www.saatchi-gallery.co.uk/yourgallery/artist_profile/Vidha+Misra%20Ahuja/90786.html

No comments: